Translate

Thursday, November 10, 2011

Zindagi ek khwaab hai....







Zindagi ek khwaab hai...kya waqi ?...gar khwab hai tou itna haqeeqi kyon lagta hai...gar haqeeqat hai tou khwaab hona kyon chahti hai...kya isi kasmakash ka naam hai zindgi ?...hmmmm shaayed her daur ek alag rukh zindgi ka le kar hi milta hai...ab jis ka dil jo chahe vo haasil kar le is say....bas vo haakim daana hai...usne tazbazab ke isi lamhe ko imtihaan bana daala...zara dekhun tou mera banda ye daana chug leta hai ke sairi ka izhaar karta hai...


Khuda ne bandey ko nafsaani kamzorion ke saath hi dhaala...warna uski pehchaan badi asaan hoti...khud ko sattar hazaar perdon may chupaane ka wahed maqsad yehi tha....gar banda apni ghaflat ka ek perda noch phenkta hai tou phir mai apne sattar hazaar perdon ko uska inaam kardunga...uske naam kardunga...phir mai uska hun...vo tou azal say mera hai rahega...bas usko hi mera hona hoga....uski laghzishon may daba her ehsaas mujhe hi yaad dilaayega....uski ghaflath ka her lamha mujh ko hi dhundega...yakhuda...thaam le mujhe...nikaal le is gerdaab say...mujhey motiyon ki hawas nahi...faqat tere karam ki chah hai...mai mohabbat karun yehi zindgi hai meri..tuu agar chahe mujhe, ye mere moqaddar ki baat hai..


Maine dekha meri tamaam umr ko dohra kar....bachpan say jawaani tak...jawaani say is padau per...jub ke mosamon ki tarha uska ye shahkaar bhi rang badalta raha...jub uski mohabbat dil may hoti hai mosam ek hi rehta hai....jis waqt duniya ghaalib hoti hai tab tezi say rang badalta hai....ke humen ye ehsaas hojaaye ke, gar tere ehsaas may mai rahun to zindgaani hai...gar sirf tu hi tu hai tou faani hai...bas do lamhon ki tu kahaani hai...phir kya hai ye rona dhona...kis liye aakhir ye armaan hai...kya tuu ne is duniya ki khaatir apne karam baantey hain...ye beej mohabbat ka usi ne boya hai...ye shajar saaya ban kar teri kahaani dohraayega...tu apne amal say pehchaana jaayega....bas tera yehi maqsad hai...tuu mohabbat ke maaron ke kaam aayega...

Friday, November 4, 2011

Qabza




Aaj say pehle aaj say zyada shaayed itni khushi mili hi nahi...kabhi dekha na tha ye wahi khwaab hai.kyon dil ko yaqeen nahi aata ke ye wahi barson puraani pukaar ka jawaab hai...saaima aur bache khushi say jhum uthey apna naya ghar dekh kar..


Saima ki anthak mehnath aur musalsal koshish ka phal tha ye..apni her khahish ko balaa-e-taaq rakh kar apne bachon ke mustaqabal ka khwaab dekha tha usne...saima ek padhi likhi seedhi saadhi bilkul ek aam si aurat thi...uski yehi khoobi usey khaas karti thi ke usne apni soch ke siwa kabhi kisi ki perwa hi nahi ki...aur uski soch uske bachon ki bahbudi ke khayaal ke ilawa kya hosakti thi..


Aaj itne barson baad uska gharonda apni tamaamter jagmagahaton ke saath maujud tha...ek ek tinka karke ye bana aur aaj uske bachon ke liye ek muhafiz chath ka intizaam ho paaya tha...jisey vo aaj apna keh sakti thi...aaj quraan-e-shareef ke saath is naye ghar may daakhil hote huye uski aankhon say ashk rawaan they..lab shukurguzaar aur dil ehsaan-mand-e-khuda-wand tha...


khuda khuda kar ke zindgi phir apni dagar per chal nikli thi...saima uske shauhar roz apni job per nikal jaaya kartey..aur bache school...din mahinon may tabdeel hote gaye...ekdin achanak halaath ne karwat li..khushi buund buund barsi thi...ek sailaab aaya aur saari khushiyaan baha le gaya...


Daadi amma say suni kahaani haqeeqat may badal jaayegi ye khwab-o-gumaan may bhi na tha...saima ki badi ladki apne hawas kho baithi thi...hosh baaqi tha...ehsaas zaayel....jaane kya hua kisi ki samajh may nahi aaya....zareen ek behad samajhdar zaheen ladki thi...jo school say ghar ghar say kitaaben...yehi daud thi uski...uski kaifiyet khuli kitaab thi...maano kisi nay uske zehen per qabza karliya ho..aur usko perde may dhak liya ho...uski herkaten,uski zubaan tak badal gaii...saima deewani huii jaa rahi thi...kya yehi tha itni kadi azmaish ka sila...


khuda say lo lagaaye baithi thi vo...sab kuch teri raza mere Maalik-e-do-jahaan...ke achanak ishaara hua...ek saaheb-e-emaan buzurg say mulaqat huii...unhon ne dhaaras bandhaii...ye ladki masoom hai....aur vo jis mushkil may giraftar hai usko khabar hi nahi..khuda ne chaha tou vo bilkul thik hojaayegi...


saima ne duaon may ajab asar dekha...uski ladki pursakun hoti jaarahi thi...uski halaath sudhar rahi thi....magar saima ke sawaal khatam nahi horahe they...aakhir ye kya tha...aur kaise hua....ek maasoom ke zehen say khel kar kya mila...agar duaon ka saaya na milta ek zindgi barbaad hoti...ek khaandaan tabaah hojaata...ek ghar neelaam hojaata....


kabhi kabhi sawaalon may hi jawaab poshida hote hain jisey hum sunna hi nahi chahtey...ya ansuni kar dete hain...her saanehe ka koii na koii sabab zarur hota hai...her saaneha yehi ehsaas dilaata hai ke hum kahaan chuke...humne kub kisi ko apni laperwaii tale rond daala tha....kub kisi ki aah ke zimmedaar rahe they....ek lamha soch ka, ek lamha ehsaas ka....humaare kal ki behtri ka sabab banta hai....

Tuesday, September 13, 2011

Aain-e-mohabbat




Ek aur tajruba zindgi ka....kisi aur ki zindgi may uthne waale tufanon ka tajziya karna..be-basi ki intiha ko mehsus karna..aye kaash hamaare ekhtiyaar may hota maqbul dua karna..shayed hai bhi..hota bhi...aur hum hain ke khud ko us qaabil banaane ki sayee tak nahi karte..karte bhi kyon kar...humen khud ke ghumon say fursat kahaan...khud ke zakhmon say araam kahaan...yehin tou vo sabaq sikhaaye jaate hain jahaan insaan apni meraj paa sakta hai...aur insaan hona hi is baat ki daleel hai..ke maalik ka karam usi ke bandon ke haathon say karwaaye jaate hain..ke usi ne insaan ko khilaafat dekar duniya may bheja...


Ek dafa baba ne kaha tha ke insaan ko uski ghalatiyon ki saza uski aulaad ke derd say milti hai...ye baat her qadam per yaad ati rahi...maa baap ko jub bhi apni aulad ke ghum may mubtila dekha..kaash saza itni kadi na hoti...nahi nahi ab aisa bhi nahi hai ke insaan ki bardasht say baahar usey koii derd sonpa jaaye....intiha say say pehle uski rehmat ki ibtida ho hi jaati hai kyon ki rab say apne bande ki taklif dekhi nahi jaati...jis tarha maa apne bache ki pehli pukaar per lubbaik kehti hai ..wahi uske ghaffar hone ka sabut hai..wahi uski rahimi aur karimi ki gawah hai...


Gharz pehli chot lagne say peshter hi ehsaas karayaa jaata hai ke hum kub aur kahaan ghalath saabit huye...kub apni gharz ka shikar huye...kub apni zimmedari say peeche hatey..kub apna ferz sahi taur per sahi waqt per nahi nibhaaya...magar vo kaifiyet jo is ehsaas ke dauraan nasib hojaati hai aziyetnaak hoti hai...ke iski lapet may tou saare apne pyaare aajaate hain...aur un pyaaron say hum keh bhi nahi paate ke unki is halaath ke zimmedaar hum hain hum jo unhen jaan say zyada pyaar karte hain wahi unki zindgi say khilwad karte hain....kaash kaash rab is ehsaas ke safar say bhi peshter apne bande ko thaam leta usey haqeeqat safar ki samjha deta......usne badi fursat say soch samajh kar insaan ki takhlikh ki aur uske rubaru duniya ko pesh kar diya...ab insaan apni himaqat ka sabut de tou rab bhi kya kare..bande ki madhoshi ka yehi ek ilaaj hai...aur chot ke lagne ka ehsaas hona is baat ka sabut hai ke abhi zindgi baaqi hai...ab bhi zindgi sanwaari jasakti hai..ab bhi uski mohabbat ko imaan banaya jaasakta hai..ab bhi apne pyaaron ko bachaaya jaasakta hai...

Sunday, March 6, 2011

Safar Mohabbaton ka.....



Kaafi dinon baad phir ankhon ko nazara mila aur dil ko surur, ehsaasaath ko kaif nasib hua...jo dil ulfaton ki zameen say say hut gaya...jo dil ulfaton ki aarzu may mit gaya...jo khud ulfaton may but gaya...us dil ki be chaini ko chain nasib hua.....jinka safar ho mohabbaton ka unhen mohabbaton ki hi talaash hoti hai...unko wahi nazara shaad kar sakta hai..unke qaraar ka raaz unhi mohabaton may pinhaan hai....


kaii saalon baad chund haseen log mile jinka husn hi mohabbat hai...unke cheheron say nazar huti nahi...vo dil may mehfuz hogaye...ache lage.....sache lage....dil phir say un dinon ki sair per niklne ko machal utha jub humaari mulaqat us paimaane say huii jo chalak kar hum may samaa gaya...vo jaam abhi talak hum may chalak raha hai..chalakta rahega...


Ye ek shaadi ki mehefil thi..jahaan sab pure lagan say sab ki khidmaton may jutey huye they..halaanke thakan say choor they..magar us ki perwa kiye baghair sab ki zaruraton ka khayaal rakh rahe they...us mehafil say mera koii rishta nahi tha, magar mujh say vo ek atut rishta bana gaye ,khulus-o-inkisaari ka...jaane kyon mere dil ko vo itna mutasar kar gaye...jaisey duniya say be-zaar ek dil ko zindgi ki talaash ho..aur usey zindgi mil jaaye..bilkul aisa tha vo mahol..aur mai bhul gaii ke mai kaun hun aur meri kya kaifiyet thi apne halaath ko le kar.....dil un sab ki mohabbaton ke nazaare may doob kar chund palon ke liye apni aziyeten bhul gaya....


Ya khuda tuune apne khazaane adam ke hi seeney may chupa rakhe hain....aur admi ko uski khabar hi nahi....jinhen zindgi say hai gila gar unhen zindgi mil jaaye phir saara gila jaata rahe....magar zindgi mile kaise....uske liye khud per say nazar hutaani hogi....un dilon ki sair karni hogi....jahaan sab ki khushi ki chah hai...jinke liye mohabbat mashal-e-raah hai....


Sameer ye naam sada mujhe bahut door le kar nikal jaata hai...us mehafil may ek naam aisa bhi tha ,Atiq ,tanveera, ghausiya begum, shahnawaaz.....salma samina....ye vo naam hain jinka zikr mere safah--dil per likha jaana zaruri hai....in sab ne her us ferd ki teemaa daari ki jo be-haal they....in sab ki be gharz mohabaton nay mujhe apne derd say door kar diya aur mai un dinon unhi ki hogai..unki khushion may rach bas gaii...admi wahi hai jo dusre ki khushi ka ehtraam kare...apne ghum bhula kar dusrey ke aram ka zariya ban jaaye...bas tou phir...ye tou apna purana pesha hai...


Ye safar mohabbaton ka mohabbaton may hi guzre acha hai....zindgi aakhir chahti hai kya..uski talaash kya hai uski pyaas kya hai.....uski sairaabi ke liye kaafi hai ye nazaara-e-mohabbat..ye nazraana-e-ulfat.....mai na bhulungi un dilon ko jinme sab ke liye eksaan ehtraam hai...sab ke liye eksaa khulus hai...ye mujhey apne murshad mohtaram ki yaad dilaatey hain...ye sab dostaan-e-khuda ke zamre may aatey hain......

Saturday, February 19, 2011

Ajab Muamma hai mohabbat ye........


Ajab muamma hai mohabbat ye....yaad jiski hamesha sataati hai jisko her pal dil chahe..jub vo saamne aajaaye tab jaane kyon nazar milaane say bhi dil dar jaaye...ya sharmaaye..ya yehi moqadar hai un ajab mulaqaton ka...jo achanak zahur pazeer hoti hain ke dil ko chaunkne ki bhi muhalath nahi milti...bas ajab kaifiyet dil ko haasil hoti hai jo bas taari rehti hai..ek surur sa chaaya rehta hai...Ajab mamma hai ye ulfat bhi....Insaan kitna jazbaati hai...uski bas itni si kahaani hai..ek ehsaas kabhi mohbbat ka bas wahi lamha zindgaani hai....


Aksar ehsaas shahid hote hain ajnabion ke jhurmut may koi naya chehra mil jaata hai per us apne ki yaad dilaata hai..bulki wahi apna usme nazar aata hai...ye kaisa ajab rishta hai...ye kaise mil jaata hai....kya waqi ye mil jaata hai..haan ye mil jaata hai...yaqeen kamaal hai..mohabbat be misaal hai...yehi khayaal her lamha saath rehta hai ke koii saath rehta hai...kabhi agar koi kamzor lamha mil jaaye ye hausla ban jaata hai rubaru mil jaata hai...derd ka koii paimaana chalakne bhi nahi deta...koi shab sawaali nahi hoti...kabhi ummid ka suraj dhalne nahi deta...bas sang safar per chalta hai.....Ajab muamma hai mohabbat ye....

Khud dil men rah ke aaNkh se pardaa kare koi 
haan lutf jab hai paake bhi Dhundha kare koi

Monday, February 7, 2011

Saaqi


Mohabbat Soni hai Mohabbat Sheereen hai Mohabat Laila hai, Ishq sirf aur sirf Majnun hai...jisey koi hosh nahi...gar ehsaas hai sirf mehbub ka hai...jiska khwab hai ishq..jiski haqeeqat ishq...jiski chah koi nahi...her lamha jiska masti hai...her din fana jiski hasti hai...vo misl-e-perwana na jala hai pal bhar may....vo chupaye rakhta hai rista lahu apne jigar may...izhaar ki jisko koii zarurat hi nahi...jo sarapa ishq ka hojaye aaina, usko zubaan say kya hai kaam.....ek aisa safar hai ye jis ka musafer tanha hi nahi.....bas her lamha rifaqat hai...her lamha uski qurbat hai...rooh ka jalwa her lamha haasil hai...her lamha uski mehafil hai....pal pal ki khabar dhadkan say dhadkan ko...haal say sab jub vo waqif ho phir khamoshi baaten karti hai.....ahwaal hawaayen sunaati hain.....ehsaas samaa ka samaan hote hain.....dil jinke zikr may unke dooba ho, phir wahi tou mehmaan hote hain..


Ajab tamaasha hai is dil ka...mehafil may chup rehta hai...tanhaii may numaayaan hojaata hai..ye ishq ka pyaala hai aisa saaqi ke haathon say jub chalke, her dil ko saaqi kar jaata hai....

Thursday, January 20, 2011

Umar


Log tou aam say insaanon ko bhi jog lene per majbur kar detey hain..ye duniya jiski duhaii deti hai duniya ka hi ghada hua hawwa hai...aur hum hain ke marey jaa rahe hain is fikr may ke log kya kahenge..ye duniya gar aise logon say bhari padi hai tou kahin na kahin chund ache log bhi tou maujud hongey jo kya hua gar humen mile nahi per hain tou...unhi saaf suthre dilon ko niyamaton ki tarha qudrat ne perdon may rakha hai...jub rehmat josh per aajaaye tab ye perdey chaak hote hain..tab inaayet hoti hai...rehmat ko josh may laane waali pukaar....jis dil say bhi nikle rang laati hai..


Kahaan ghalath thi mai..kaise hogaya ye sitam...Maahru num aankhen liye soch may dubi huii baithi thi....ek sarbarah ki haisiyet say sab ki bhalaii ke khayaal ne ek masum ki khahishon say muhallat maangte waqt ye nahi socha ke ye ek nakhatam hone waala waqfa hoga...jisme khamoshi say koii khwab taabir ki hasrath may tanha reh jaayega...us waqt itni door-ras nahi thi uski aankhen jo aane waale waqt ko padh paateen...warna us say ye ghalathi kabhi na hoti...per ab kya hosakta tha...kehte hain tadber say bigdi huii taqdeer bana lete hain log...per usey koi tadbeer sujhaane waala bhi mil nahi saka.....soch tak be-bas thi....aur waqt tamaash-been...


Aalia bachpan say hi ajz-o-inkisaari ka paikar rahi....us ne kabhi koi zid koi maang nahi rakhi kabhi apni maa ke aage...bas jis cheez ka hukum hua kiye gaii....jawaani ke her ehsaas ko balaa-e-taaq rakh kar ilm-o-amal ke maidaan may nabard azma rahi...apne bhaii ka saaya bani..apni maa ka apne waled ka her ishaara hone say bhi peshter vo samajh jaane waali beti bani....aisi Aalia kaise nazar andaaz hogaii .............kahi koii derd chota ya bada nahi hota..derd tou derd hota hai.....jub ek derd aankhon ko muhallath na dey phir koi kuch aur kya dekhe...youn halaath ne ek gul apne khaaron taley chupa liya....


Aaj peeche mud kar dekha tou wahaan wahi muntazar do aankhen dikhaii deen jo pooch rahi theen meri baari kub aayegi...meri khamoshi kub suni jaayegi....Maa ek tumhare siwa kaun sun sakta hai mujhe...aur Maa ne deewaani Maa bhi usey na sunn saki...nahi nahi suna bhi aur ansuna bhi kar diya...nahi nahi ek maa say apni beti ka koi derd kaisey nazar andaz hosakta hai..usne apne derd may uska derd bhi basa liya..usey bhi apbe seene say laga liya..khamoshi maa ka bhi moqaddar thi..usey pareshaan karna nahi aata tha..pareshaan hona, pareshanion ko chupaana ata tha....ke halaath ke shikaanje may vo khud bhi tou jakdi huii thi....is tarha ek dil waqt aur halaath ki zad per khud ko qurbaan karta raha....


Maahru ki duaon ko intizaar hai apne maqbul hone ka...apni noor-e-nazar ki aankhon may sitaare bharne ka..un haseen narm-o-nazuk haathon may mehndi ke rang sajaane ka...surkh jode say sanwri damakti huii Aalia ko aankhon may bhar lene ka....ye intizaar taveel hota jaa raha hai...be basi haawi hoti jaarahi hai hauslon per....khuda jaanta hai ski hikmaton ko...uski hi hikmaton say ghiri huii hai zindgi...usi ke ishaaron per amal paira hain sab....koi qismat baghair uski rehmat ke sanwregi kaise....aur uski rehmat uske mehbub ke sadqe mil jaaye ...yehi iltija hai..yehi dua hai...

umr jalvon men basar ho ye zaruurii to nahiin
har shab-e-Gam kii sahar ho ye zaruurii to nahiin