Translate

Tuesday, October 23, 2012

Mohabbat ka qarz






yon tou zindgi ne hamesha hi majbur kiya....vo dekha jo na dekhna chaha, vo bhugta jiski kabhi tamanna hi nahi ki, shaayed yehi imtihaan tha, bande ki asli parakh inhi siffak palon say hoti rahi....banda bekhabri may apni fitrat say ladta rehta hai. usey gar ye khabar hoti tou shaayed apni fitrat ke taqaaze pure na kar paata...vo aarzi hota....masnuwaath say bharpur....khud say begaana...sirf ek banawati afsana.....haqeeqat ki khabar sirf usi ko hai jo imtihaan leta hai...aur jo imtihaan deta hai usey imtihaan ki tak khabar nahi hoti...isi bekhabri ke nataayej hain ye aane waale kal ke pal.....jinki ummid ke baghair hi guzar jaate hain ye jaate huye kal ke guzre huye pal....

Allah! Ab aur intizaar ki suli per na latka...ab tou ye khwab pura karde...ab tou koi kal sunehra karde...badi masumiyet say dil ne ye dua ki ...per dil kahaan ye jaanta tha ke duaon ki haqeeqat kya hai...aur dil ki zarurat kya hai...bas umr yon hi basar hoti hai....deewanepan may guzar hoti hai...so saba ne bhi aam dilon ki tarha maangta hua dil hi paaya...khahishen...khwab....umrbhar unhi ka dhudnti rahi jawaab.....pata hi nahi chala kub jawani aai....aur in jawan saalon ne bhi uske dil ke saath khilwad hi kiya...usey hamesha apni giraft may rakha....samjhne bujhne ki muhallath hi na di.....madhoshi naghma bani.....aur deewangi  ne hosh may aane hi na diya...bas ...zindgi yon hi kisi ke naam huii...yaane ek deewani ek khamoshi ka jaam huii...

Saba  sahi maanon may tab meheki jub usey apne raaz mile....usne apne chaman ke phulon say zindgi seekhi....ye phul us khamoshi ka phal they jo uske shor machaate huye sawalon ka pursukun jawab thi...jahaan zindgi teher gaii thi vo kinara bekaraan sunnata liye huye uske khwabon ke jazeeron ko safa-o-marwa bana raha tha.....usne apne nhanne munne gulon ko bade pyaar say seencha kyon ke maqsad-e-hayaath wahi they...khuda ka sonpa hua raaz yehi they....usme kisi qisam ki kotahi mumkin hi nahi thi....maali ka kaam seenchna tha....Maalik tou maali per nazar rakhe huye tha ke kya meri bakhshi huii amanath ki nigahbaani thik say hoti bhi hai k nahi....so saba ne apne farayez puri tarha nibhaaye....

Magar zindgi ko kuch aur sabaq manzur they....usne mukamal taareekh jo likhni thi....so halaath pesh huye.....ek gul ke hisse may saare chaman ki zimmedaari aaii...us gul ne apni tan mun ki baazi laga kar chaman ki hifazat ki..kahin koi kami na rakhi....dusra gul  usi gul ki aghosh may saja sanwra...aur saba us gul ki umrbhar ki ghulaam hoti gaii....us gul ka esaar meraaj paa chuka tha....us gul ke hisse may jitne bhi khaar ugey unhon ne saba ko lahu lahaan kiya....us gul ko tou vo bacha na saki...per uske riste zakhmon ka derd usne saha.....vo lahu jo us gul ki aankhon may munjamid ho chuka tha saba ki aankhon say tapakta raha....ye derd ka bojh kaise uter sakta tha.....ye qarz tha mohabbat ka...iski qeemat lagaai kaise jaasakti thi.....isey chupke chupke nibhaai jaati hai....us gul ka saath beshqeemti tha....warna dastur-e-waqt yehi tha chaman say gul ka bichad jaana...per ye gul  tou khuda ka tohfa tha...dua tha so dua hi bana raha...aur saba usi ke saath chaman chaman guzarti rahi...guzarti hai...guzarti rahegi....

Tuesday, October 16, 2012

Taaqab




Un nhanni munni aankhon may ajab chamak thi...........kub say apni dono baahen phailaaye us khusnuma titli ke taaqab may bhaage jaarahi thi vo...vo chote chote paaun thakan say na-ashna they...unhen hosh tha tou bas itna ke us rangon say arasta titli ko chu le....bas usey apne nhanne munne haathon may daboch le...phir usey udne na de...bas apna bana kar rakhe....kamsin khahish thi....aur kamsini haq rakhti thi machalne ka....khahishon ka peecha karne ka...so us ne apna moqadar jaane bina hi moqadar ko azmaaya....dono haathon may us titli ke siwa sab kuch haath aaya....per dil tou us titli ke liye machla tha.....uska chota sa dil  khahishon ke raley may peheli baar phisla tha..tab say vo bhagey jaa rahi thi...aur titli bhi.....na vo haath aai...na isne dum liya....

Aakhir ekdin usne us ke nerm paron ku chu hi liya....arey ye kya....ye rang uski haathon may aagaya tha....uske haath us ke rangon say rangeen hogaye they.....vo rang jo khwab ki tarha haath na aana chahte they aaj uski haathon ko range jaa rahe they....titli ne apne paron ko phailaaya...maano kah rahi ho...aao jitne rang chahe lelo mujh say...ke mai khahish hun tumhaari.....ye tum per munhasar hai....ke tum chahte kya ho.....tumhen is khushnuma titli ke rangon ka raaz maalum karna hai...ya in rangon ko haasil karna...dono suraton may use tou rang milne hi they.....ke  titliyon ka taaqab rang de hi jaata hai.....

Sawera keh raha tha jaago bhi ab.....jaagne ki musibat kon le ab...itni pyaari titliyaan jo theen khwab si khwab may....per dil ne kaha chaman ka sawera kuch aur hi rang hota hai...kyon na chaman le....sawere sawere....so chaman ki sair huii....phir wahi khushnuma titli rubaru thi...goya keh rahi ho aao mera peecha karo...per ab jub ke uske rang haath aagaye they.usey patta chal gaya tha.....vo rang jo chu lene say jhadne lagte hon un rangon say kya haasil....jin ki dilkashi pal do pal ki ho un say dil lagaane say kya haasil.

vo rang jo abadi hain qudrat ne her bani nu ko bakhshe hain....usey kisi aur rang ki bhala kyon ho justaju.....vo khud hi khalikh ka ek aisa rang hai jisey  jaanne ke liye khalikh ki ijazat chahiye...aur uski mehboob nazar chahiye......vo banda jo khud ek karishma hai qudrat ka usey bhala koi aur raaghib kaise karsakega.khalikh ke siwa. husn, husn may hi madgham ho jaayega. phir kahin aur nazar nahi aayega....

Sunday, July 29, 2012

Darr




Ye kaisa darr tha jo sab ku dara raha tha..aakhir insani nafsiyaath ki ye girah khule tou kaise....kaun samjhaaye us ko jo samjhna hi nahi chahta...kyon ki samajhdari may kaii qasaare jo they....jaan bujh kar anjaan bane rehna lutf andoz hone ka mauqa tha....dusron ki kasmakash, hichkichahat ko unki kamzori maan kar hiz uthaana ek nafsiyati beemaari ke ilawa aur kya hosakta tha....magar vo zehen jis per perda pada hua ho vo bhala apne siwa dekhe bhi tou kya.....so khudi ke daayere say bahar niklne ka un ka bhi koi programme nahi tha...jinhen sab pyaar say Sughra bi bulaaya karte they....

BI Sughra apni noviyet ki ek hi theen....unhon ne apni ghar ki auraton say jo haasil kiya usi ko apnaya....vo ye bhul gayeen ke vo sab unhen kitna napasand tha, vo waqt jo unper bhaari tha usey halka karne ka ye mansuba unki aaqibat kharab karne per tula hua tha vo ye kahaan soch samajh paai theen....vo bhul gayeen ke unki buzurg khwateen apne waqton ki maari huii theen...aur ye un waqton ki zad may aai huii apne aane waale waqt ko wahi tohfa dena chahti theen jo unhi gaye waqt say mila tha.

Halaanke waqt ka taqaza tou ye tha ke gaye waqt say behtreen sabaq haasil kiye jaate aur aane waale waqt ko sanwaarte....per ye kotah dimaaghi ki aalatareen misaal thi ke faazil waqt ki tafreeh dusron ki zindgi ko nishaana banaa kar ki jaaye....unki hansti kehelti zindgi ko apni zeheni azudgi ki khaatir zad-o-kob kiya jaaye....

Ab aap sochte honge aakhir ye bi soghra ne aisa kiya kya hoga...jiski tamheed may itni nafsiyaati girahen kholi gayeen...tou haan tou dosto.....inke aala mansab ka wahed ezaaz inke bete they....jinhen inhon ne apni hukumat ka takht-o-taaj bana rakha tha....aur ye usme laal ban kar jud gaii theen...aur maare fakhar ke phule na samaateen theen....khuda ne karam kiya tha beton say nawaaz kar...aur bi soghra bete paa kar sitam karne per tul gaii theen....ab ye inki samajh ka pheir tha ya dimagh ka fitur..

Kehte hain jaisi Maa waise bache...yehaan bhi maamla kuch aisa hi tha..bachon ne maa ke vo rang dekhe jo zaahir they....andar chupi huii ek aur soghra bi ka unhen patta chalta bhi kaise....vo tou gaye waqton ki maari soghra thi....jo dabe paaun aane waale waqt ki taak may baithi theen..unke ladke bechaare apni qismat say anjaan aankhen moonde khuda rasul sllam ke fermaan per qaayem they...ye ek behtreen fale tha...magar maa apne ferz say muh phere baithi theen ..unhen sirf apne haq manwaane aatey they...unhon ne islaami shariyet ka yehi fayeda uthaaya ...apne beton ko gumraah karti raheen aur unhen haq say ghaafil kardiya....itne fermabardar bete aur haq say munharif ho kaise sakte they....maa ne unke akhlakh-o-adaat ka beda yon gharaq kiya  ke unhin apni soch ke mutabiq dhaal kar unki apni khud ki soch  say begaana kar diya...ek tarha say un teenon ko ek aurat ki kotah andeshi ney deewana kar diya.....

ek ek kar ke teenon ladkon ki shaadiyaa ki unhon ne.....peheli bahu ney apni maa ki hikmaton ko apna kar bi soghra ke panje say rihaii haasil karli....dusri bahu aai ...usey bi soghra ko samjhne may saal lage....usne apni raah li aur bi soghra ku nazar andaz kar ke jeena seekh liya...teesri bahu aai jo seedhi saadhi thi ...usne buzargon ki tazeem ko hamesha apna ferz samjha...yehaan tou shauhar ki maa theen...teesri bahu nadan nikli...ji haan ji haan karte karte usne khud ko faramosh kar diya....phir bhi soghra bi ke changeezi andaz may koi faraq nahi aaya...vo kabhi khush na hoteen na khushi ka izhaar karteen...naii naveli dulhan ka laad karne ki bajaaye apne naaz uthwaati rehteen...beta tha ke junnat haar jaane ke dar say apni biwi ke huquq talf kar raha tha..

".khuda ne ye junnat ka wada isliye nahi kiya tha ke uska banda us say ye junnat her qeemat per talab kare."..uski sherton may koi haqtalfi nahi thi...na hi na insaafi...uska tou seedha seedha hisaab hai...kar bhala tou ho bhala....yehaan ek aurat ki fitrat ne kaii auraton ki zindgi maliamate kar rakhi thi....aur us aurat ne apne maa hone ka naa jaayez faayeda uthaaya tha....usne apne ladkon ko badi khushaslubi say unki biwiyon ka haakim bana daala aur khud un per hukumat karti raheen...

Aap poochenge shauhar ka haakim hona kahaan ghalath hai....per hitleri tou ghalath hai na....taana shahi tou dhaandli hai na....unke raaj may biwi ko roti kapda aur makaan ke iwaz kaat ki gudiya bana liya gaya...jisey sirf" ji "kehne ki azadi thi...aur is tarha ek zee shaur ladki ka dum in ke darmyan pis kar ghutne laga.....uski aqal inkaari thi aur uska mizaj inkisaari tha....vo khamosh bhi thi aur beqarar bhi....

ye kasmakash khuda ko pasand na aai..usne is khamoshi ko shor may badalne ka intizaam kar daala....ab shor zaruri tha...kyon ki insaaniyet say be bahra huye logon ki samaa-aton per zarb lagana maqsood tha...usne apni hikmat ka anokha rang dikhaaya...ke khamoshi ko bhi bolna raas aagaya....haq ne jub apni awaaz uthaii tou zulm bilbila utha...uski ana per lagi kaari zarb ne usey bhadka diya....aakhirkaar ehsaas ke daras khul gaye....izhaar na sahi iqrar na sahi aankhon ki nadamat kaafi hogaii....muafi ek lamha hai...nadamat umrbhar ka ehsaas....jo bhulaaye nahi bhulne deta..khuda kare ke unki aage ki zindgi khushgawar guzre....aaiye aap aur hum dua karen...Ameen...

Thursday, June 14, 2012

Ishq




Usney kaha mai ishq hun...maine kaha may josh hun...usne kaha mai rooh hun...maine kaha mai dil hi dil....vo hans pada...mai jub milunga tujh say tere hosh ud jaayenge...maine kaha dekh lenge hum dil ke baghair ashiq kub tak khair manaayenge.....waqi Ashiqi sabar-talab hai aur tamanna bezaar...magar sabar ki raahon per chalaane ke liye hi tou ishq dar aata hai zindgi may.....waqi ek aag ka darya hai aur doob ke jaana hai....yehhi samjha gaya hai vo.....mujhe chahna alag baat hai...mujhe khojna alag baat hai...hasrath may meri ansu bahaana alag baat hai.....mujhe khud may shaamil karna alag baat hai.....


muhabbat ke liye dil dhundh koi tutne waala

ye wo maye hai jise rakhte hain nazuk abginon mein 

Vo chahton ka ameen hai....vo deewanon ka muyeen hai.....vo gumrahon ka mubeen hai....vo ayin us waqt rubaru hota hai jub aap ki fitrat raasta badal rahi ho..aur apni dhadkanon ki zubaan ko sahi tarha say decode na kar paaya ho.. us waqt aapki fitrat ka taqaza samajhne waala aapki rahbari yon karta hai ke....rahbar khud ishq ki surat pesh hojaata hai....apne mehbub dil ki madad ke liye khud khuda madadgaar hojaata hai....aur ishq ke bhes may apne  pukaarne waale ke rubaru hojata hai...aur deewana bas jalwon may kho kar reh jaata hai....vo ehsaas jo donon ke darmyaan say perda utha day...us waqt tak nahi milta jub tak vo pehchaan ke marhale taye nahi kar leta...jub tak khudi say nikal kar khuda say jaa nahi milta.....yehi tou muamma hai....jisey hul karne may puri umr lag jaati hai ...aur ek adad dil ki shahadat bhi darkar hoti hai...ishq baghair esaar ke adhura hai....
Ishq ishq...haaye dil dil kehte rahe jo umrbhar....sohbat-e-ishq may rah kar bhi usey haasil na kar sakey....ke yehaan bekhudi makhsud nahi hai.....bulki khud tu maqsood hai....faqat teri talab maqsud hai...ke tu kya chahta hai...maye ke maye-khana....saaqi ke paimaana....


kholi hain zauq-e-deed ne ankhein teri to phir

har rahguzar mein naqsh-e-kaf-e-pay-e-yaar dekh

Monday, January 23, 2012

Pehli baar




Zindgi ka carvan bandhe usulon per tha rawaan dawaan...sab kuch aam tha....aam sa...dilon ko hamesha khaas lamhon ka intizaar hota hai...kahin zindgi usi kay naam hoti hai ,kahin yon hi zindgi tamaam hoti hai..phir bhi isi intizaar ka naam hi hai zindgi...yehi tou lutf deta hai....intizaar....khwaab taabir say zyada haseen hote hain..kyon ki taabir ki umr mukhtasar hoti hai...aur khwaab lazawaal hote hain...inka silsila kisi rukawat say nahi rukta....ye qila kisi kay aage nahi jhukta.....tou bas phir ek dil nay yehi raasta khud kay liye chun liya....jiski koii manzil nahi aisa hi ek safar usne chun liya.....bas phir kya tha...raah thi kay mili jaa rahi hai...raahi hai ke chala jaa raha hai....mod hain kay mile jaa rahe hain...saaye hain kay saath chod jaa rahe hain....

Bas aisa pehli baar hua tha..ek umr qaid kay qaidi ehsaas ko eklakht jub rihaai nasib hojaaye tab us waqt  ka haal shaayed koi lafz bayaan bhi nahi kar sakta...bas yehi hua....pehli baar rooh sairaab huii thi...kuch tou aisa ghata tha...ke saarey bandh darwaaze eklakht khulte chale gaye...aur saara wajud ek lamhe may sakun paa gaya...kya yehi takmil ka taqaza tha...kya isi asudgi ka naam khushi hai...duniya ki koi khushi jis ehsaas ko sairaab na karsaki...jo ek had usey umrbhar tishna rakhti rahi...uski tishnagi us lamhe ki daryaft say sair hogaii.....Aah ! khwaab kehte hain nahi ye vo nahi....haqeeqaten muskura rahi hain ke yehi zindgi ki haqeeqat hai....

Ab koii bataaye bhi ke ehsaas kahe jub yehi lamha jahaan tu nay khud ko chua yehi teri zindgi ka pehla lamha hai...tab koi kya samjhe....koi kya soche...koi kya jaane....ab tak jo cuti vo zindgi thi ke khwaab tha....kya ye lamha un thaki thaki musafaton ka jawaab hai....kya vo khwaab mahaz khwaab they...ya ane waali zindgi ka pesh khima they....ye hikmaten insaan ko uski haqeeqaten samjhaane ke liye amal may laai jaati hain...bandh aankhon say jo nazara ho vo haqeeqat hai...khuli aankhon say aksar dil, fareb khate hain....per ye fareb dilfareb hote hain...insaan tou hamesha say husn ka shidaii hai....usne gar husn-e-haqeeqi  ka nazaara karleta tou phir shaayed kahin aur uski nazar hi na uthey....ke vo lafaani hai...na uska koii saani hai....

Thursday, January 5, 2012

Mohabbat ke usul





log kehte hain zamaana badal gaya hai...log wahi hain...soch badal gaii hai...ye kyon aur kaise badal gaya hai...kis ke zehan ki upaj hai ye...ye badlau eklakht aan-e-wahid may tou zahur pazeer nahi hua hoga...is tabdili ki koi wajah tou rahi hogi...iske peeche koi sabab zarur karferma raha hoga...aakhir vo hai kya....aur is tabdili ki zarurat kyon kar pesh aai hogi...puraane waqton may basne waalon ne kya kamyaab zindgi nahi guzaari thi...beshak guzari...aur aaj bhi un doorandesh zehnon ke qaul mehfuz-e-qalam hain...dilon per raqam hone waale...anmol khazaane...tou phir aakhir ye kaisa nayapan tha jo naumd ke liye machal utha..


Ek zi faham ki soch kya kehti hai...ye insaani zehen ki irteqa ka dusra rukh tou nahi, jo aaine ka dusra rukh dikha raha hai...vo jiski khud aaine ko tauqa na thi...tabdiliyaan agar khushnuma hon dilpazeer hon tou bhali lagti hain..tabdiliyaan gar khush haali ki zaamin hon tou bhali lagti hain...tabdiliyaan aman-o-amaan ki khaatir hon tou bhali lagti hain..tabdiliyaan waqt ki maang say zyaada azaadi-e-nafs ki taraf jub maayel hone lagen tab khatarnaak saabit hoti hain..ye zahreele maadon may tabdeel hojaati hain...ye naii paud ke liye jaraaseem ban jaati hain...unki nashonuma ko keed lag sakta hai..phir is naii fasal ki nashonuma ruk sakti hai...her vo shaye jo inka baani hai saath tabaah hone lagte hain...phir kuch nahi bach paata...na soch, na zehen, na insaaniyet, na insaan....


Aisi tabdili kis kaam ki, jisme koi khushi shaamil na ho, faham-o-adraak ka koi dakhal na ho...kawwa chala hans ki chaal phir khud apni bhi bhul gaya...is taqleed say kya haasil...apni pehchaan banaaye rakhna hi kamaal hai...hans ne tou kawwe ki taqleed nahi ki...phir kawwe ko kya padi thi taqleed ki...ye ek kamzor zehen ki alamat hai ke usey apni khoobiyon per etbaar nahi tha...khuda ne her jaandaar ko bamaqsad hi dhaala....warna sab ekse hote...sab ki qismat eksi hoti...phir is jahaan aur jahaan waalon ke hone ka maqsad hi faut hojaata...yeh mohabbat ke usulon ki kahaani hai...mohabbat tawakal sikhaati hai..mohabbat mehbub ban jaati hai...mohabbat khud may dar aati hai...mohabbat khud ko mumtaaz kar jaati hai..mohabbat dil jhukaati hai..mohabbat taaqat ban jaati hai....mohabbat khaalikh ki isi etbaar per kaamil hoti hai ke usne her insaan may apni mohabbat ke rang hi bhare...unsay isi taqleed ki ummid ki....taqleed is say behter koi nahi...koi nahi...koi nahi...

Thursday, November 10, 2011

Zindagi ek khwaab hai....







Zindagi ek khwaab hai...kya waqi ?...gar khwab hai tou itna haqeeqi kyon lagta hai...gar haqeeqat hai tou khwaab hona kyon chahti hai...kya isi kasmakash ka naam hai zindgi ?...hmmmm shaayed her daur ek alag rukh zindgi ka le kar hi milta hai...ab jis ka dil jo chahe vo haasil kar le is say....bas vo haakim daana hai...usne tazbazab ke isi lamhe ko imtihaan bana daala...zara dekhun tou mera banda ye daana chug leta hai ke sairi ka izhaar karta hai...


Khuda ne bandey ko nafsaani kamzorion ke saath hi dhaala...warna uski pehchaan badi asaan hoti...khud ko sattar hazaar perdon may chupaane ka wahed maqsad yehi tha....gar banda apni ghaflat ka ek perda noch phenkta hai tou phir mai apne sattar hazaar perdon ko uska inaam kardunga...uske naam kardunga...phir mai uska hun...vo tou azal say mera hai rahega...bas usko hi mera hona hoga....uski laghzishon may daba her ehsaas mujhe hi yaad dilaayega....uski ghaflath ka her lamha mujh ko hi dhundega...yakhuda...thaam le mujhe...nikaal le is gerdaab say...mujhey motiyon ki hawas nahi...faqat tere karam ki chah hai...mai mohabbat karun yehi zindgi hai meri..tuu agar chahe mujhe, ye mere moqaddar ki baat hai..


Maine dekha meri tamaam umr ko dohra kar....bachpan say jawaani tak...jawaani say is padau per...jub ke mosamon ki tarha uska ye shahkaar bhi rang badalta raha...jub uski mohabbat dil may hoti hai mosam ek hi rehta hai....jis waqt duniya ghaalib hoti hai tab tezi say rang badalta hai....ke humen ye ehsaas hojaaye ke, gar tere ehsaas may mai rahun to zindgaani hai...gar sirf tu hi tu hai tou faani hai...bas do lamhon ki tu kahaani hai...phir kya hai ye rona dhona...kis liye aakhir ye armaan hai...kya tuu ne is duniya ki khaatir apne karam baantey hain...ye beej mohabbat ka usi ne boya hai...ye shajar saaya ban kar teri kahaani dohraayega...tu apne amal say pehchaana jaayega....bas tera yehi maqsad hai...tuu mohabbat ke maaron ke kaam aayega...